اردو हिंदी
Ye reg-e-rawan yaad-dahani to nahin kya | Shaahi Shayari
ye reg-e-rawan yaad-dahani to nahin kya

Ghazal

Ye reg-e-rawan yaad-dahani to nahin kya

Aftab Ahmad

;

ye reg-e-rawan yaad-dahani to nahin kya
sahra kisi dariya ki nishani to nahin kya

dekho mera kirdar kahin par bhi nahin hai
dekho ye koi aur kahani to nahin kya

raushan hai naya aks sar-e-chashm-e-tamasha
bite hue manzar ki rawani to nahin kya

is ghar ke dar-o-baam bhi apne nahin lagte
qismat mein nai naql-e-makani to nahin kya

KHwabon pe paDi os ka matlab to yahi hai
ashkon ke jo shoale wo the pani to nahin kya

main misra-e-ula hun to aaine mein sahab
jo aks hai wo misra-e-sani to nahin kya

puchhunga kisi roz charaghon se main 'ahmad'
ye lau koi paigham zabani to nahin kya