ye rahguzar to kisi rahguzar ka dhoka hai
ki umr bhar ka safar bhi safar ka dhoka hai
KHabar ki raushni ab raushni nahin karti
so ho na ho ye KHabar bhi KHabar ka dhoka hai
yahan to hadd-e-nazar tak hai ek virani
mere guman ye tujhe kis nagar ka dhoka hai
dikhai bhi to kahin de wo dhup aane par
shajar wo hai ki hamin ko shajar ka dhoka hai
isi liye to ye sahra aziz hai ki yahan
na shor-e-shahr-e-bala hai na ghar ka dhoka hai
badalti jati hai duniya kuchh is tarah 'KHalid'
ki jo nazar mein hai samjho nazar ka dhoka hai

Ghazal
Ye rahguzar to kisi rahguzar ka dhoka hai
Khalid Mahmood Zaki