اردو हिंदी
Ye raat tumhaari hai chamakte raho taro | Shaahi Shayari
ye raat tumhaari hai chamakte raho taro

Ghazal

Ye raat tumhaari hai chamakte raho taro

Nasir Kazmi

;

ye raat tumhaari hai chamakte raho taro
wo aaen na aaen magar ummid na haaro

shayad kisi manzil se koi qafila aae
aashufta-saro subh talak yunhi pukaro

din bhar to chale ab zara dam le ke chalenge
ai ham-safaro aaj yahin raat guzaro

ye aalam-e-wahshat hai to kuchh ho hi rahega
manzil na sahi sar kisi diwar se maro

ojhal hue jate hain nigahon se do aalam
tum aaj kahan ho gham-e-furqat ke sahaaro

khoya hai use jis ka badal koi nahin hai
ye baat magar kaun sune lakh pukaro