اردو हिंदी
Ye raat kitni bhayanak hai baam-o-dar ke liye | Shaahi Shayari
ye raat kitni bhayanak hai baam-o-dar ke liye

Ghazal

Ye raat kitni bhayanak hai baam-o-dar ke liye

Shatir Hakeemi

;

ye raat kitni bhayanak hai baam-o-dar ke liye
kahan se laun siraj-e-munir ghar ke liye

talab ki rah salamat maqam-e-shauq bahut
takallufat zaruri nahin safar ke liye

jamal-e-yar saza-war-e-jiht-e-KHas nahin
ajib marhala dar-pesh hai nazar ke liye

gharib-e-shahr-e-tamanna asir-e-dam-e-firaq
taDap raha hai sar-e-jada ham-safar ke liye

basirat-e-lab-o-lahja na zindagi ka shuur
qarar bhi hai zaruri dil o nazar ke liye

nashat ka ruKH-e-raushan dikha gai shab-e-gham
dua ko hath uThaya tha main sahar ke liye

fughan ki jis ne zamane ko raushni baKHshi
charagh DhunD raha hai KHud apne ghar ke liye

hayat daftar-e-taKHliq bhi hai ai 'shatir'
hayat ek muamma bhi hai bashar ke liye