ye raat din ka badalna nazar mein rahta hai
hamara zehn musalsal safar mein rahta hai
nazar mein us ki to wusat hai aasmanon ki
go dekhne ko parinda shajar mein rahta hai
hamara nam wo le le to log chaunk uTThen
ki fard fard hamare asar mein rahta hai
shajar shajar jo samar hai to dekh KHud ko bhi
jahan-e-nau ka tasawwur samar mein rahta hai
har ek baat ka bilkul yaqin aaya magar
hamara KHauf tumhaare agar mein rahta hai
tujhe guman hai ki manzil pe to pahunch bhi gaya
har ek shaKHs yahan rahguzar mein rahta hai
use sukun hai is se ki hum ko chain nahin
bas ek junun hamari KHabar mein rahta hai
nahin hai kuchh bhi wo ai 'sad' bas KHayal sa hai
magar KHayal ka sauda to sar mein rahta hai
Ghazal
Ye raat din ka badalna nazar mein rahta hai
Saadullah Shah