ye raat bhayanak hijr ki hai kaTenge baDe aalam se hum
Talne ki nahin ye kali bala samjhe hue the sham se hum
jab qais pahaD is sar se Tale id aai tab aai jaan mein jaan
ta der ajab aalam mein rahe honTon ko milae jam se hum
tha maut ka khaTka jaan-farsa sad shukr ki nikla wo kanTa
gar ho na qayamat ka dhaDka ab to hain baDe aaram se hum
ta-manzil-e-jaanan sath raha kam-baKHt tasawwur ghairon ka
shauq apne qadam khincha hi kiya palTa hi kiye har gam se hum
ulfat ne unhin ki haq ki taraf phera mere dil ko shukr-e-KHuda
tamir karen masjid koi kyunkar na buton ke nam se hum
ai ham-nafaso dam lene do bhule hue naghme yaad aa len
aae hain chaman mein uD ke abhi chhuTe hain isi dam dam se hum
baaton mein guzarte hijr ke din ai kash ki donon mil jate
hum se hai dil-e-nakaam KHafa aazurda dil-e-nakaam se hum
yun un ke adab ya KHatir se har baat ko le len apne sar
jab dil hai unhin ke qabu mein phir pak hain har ilzam se hum
wo samjhe ki hum ne mar liya hum samjhe milenge aaKHir wo
milte hi nigah ke donon KHush aaghaz se wo anjam se hum
duniya mein taKHallus koi na tha kya nil ka Tika 'shad' hi tha
tum wajh na puchho kuchh is ki chiDh jate hain kyun is nam se hum
Ghazal
Ye raat bhayanak hijr ki hai kaTenge baDe aalam se hum
Shad Azimabadi