اردو हिंदी
Ye raste mein jo shab khaDi hai haTa raha hun muaf karna | Shaahi Shayari
ye raste mein jo shab khaDi hai haTa raha hun muaf karna

Ghazal

Ye raste mein jo shab khaDi hai haTa raha hun muaf karna

Zulfiqar Aadil

;

ye raste mein jo shab khaDi hai haTa raha hun muaf karna
baghair ijazat main din ko basti mein la raha hun muaf karna

zamin banjar thi tum se pahle pahaD KHamosh dasht KHali
kahaniyo mein tumhein kahani suna raha hun muaf karna

kuchh itne kal jama ho gae hain ki aaj kam paDta ja raha hai
main in parindon ko apni chhat se uDa raha hun muaf karna

ye be-yaqini ajab nasha hai ye be-nishani ajab sakun hai
main in andheron ko raushni se bacha raha hun muaf karna

inhen sitaron ke sab lataif suna chuka hun hansi hansi mein
aur ab charaghon se apna daman bacha raha hun muaf karna

mujhe batane ka faeda kya makin kya the makan kya hain
main us gali se na aa raha hun na ja raha hun muaf karna