ye qissa-e-gham-e-dil hai to bankpan se chale
kisi nigah pe Thahre kisi badan se chale
na jaane kis ke karam se khile kali dil ki
sumum-e-dasht se uThe saba chaman se chale
wo aae dil mein to yun jaise sham ka tara
misal-e-mah sitaron ki anjuman se chale
fasane chaak-e-gareban ke paD gae phike
junun ki baat kabhi tere pairahan se chale
hujum-e-subh ki tanhaiyon mein Dub gae
wo qafile jo andheron ki anjuman se chale
Ghazal
Ye qissa-e-gham-e-dil hai to bankpan se chale
Anvar Moazzam