ye qatra-e-shabnam nahin ai soz-e-jigar aaj
Dubi hui aae hai pasinon mein sahar aaj
be-wajh nahin fitrat-e-shoKHi ka guzar aaj
tum aankh mila kar jo churaate ho nazar aaj
wo aae ayaadat ko to aai hai qaza bhi
mehman hue ek waqt mein do do mere ghar aaj
arman nikalne diye kis soKHta-dil ka
hai wasl ki shab bol na ai murgh-e-sahar aaj
wo kaba-e-dil toDte hain sang-e-jafa se
barbaad hua jata hai allah ka ghar aaj
har ashk ke daman mein hai ek manzar-e-tufan
kya Dub hi jaegi ye kashti-e-nazar aaj
Dubi hui nabzen ye pata deti hain mujh ko
ai 'auj' na hogi shab-e-furqat ki sahar aaj
Ghazal
Ye qatra-e-shabnam nahin ai soz-e-jigar aaj
Raj Bahadur Saxena Auj