اردو हिंदी
Ye qadam qadam kashakash dil be-qarar kya hai | Shaahi Shayari
ye qadam qadam kashakash dil be-qarar kya hai

Ghazal

Ye qadam qadam kashakash dil be-qarar kya hai

Varis Kirmani

;

ye qadam qadam kashakash dil be-qarar kya hai
jo yaqin na ho amal par to nashat-e-kar kya hai

ba-KHuda nasim-e-gulshan teri wahshaton ke sadqe
ye mizaj-e-nama-bar hai to mizaj-e-yar kya hai

wo karam na ho sitam ho koi baat kam se kam ho
ye ada-e-be-niyazi mere gham-gusar kya hai

ye hum ahl-e-gham ki manzil hai dabe qadam guzar ja
ki ajal yahan ke fitnon mein tera shumar kya hai

abhi aa ke naghma-e-dil ki bahaar dekh jao
main nawa-e-KHud-shikan hun mera e'tibar kya hai