اردو हिंदी
Ye piran-e-kalisa-haram ai wa-e-majburi | Shaahi Shayari
ye piran-e-kalisa-haram ai wa-e-majburi

Ghazal

Ye piran-e-kalisa-haram ai wa-e-majburi

Allama Iqbal

;

ye piran-e-kalisa-haram ai wa-e-majburi
sila in ki kad-o-kawish ka hai sinon ki be-nuri

yaqin paida kar ai nadan yaqin se hath aati hai
wo darweshi ki jis ke samne jhukti hai faghfuri

kabhi hairat kabhi masti kabhi aah-e-sahar-gahi
badalta hai hazaron rang mera dard-e-mahjuri

had-e-idrak se bahar hain baaten ishq o masti ki
samajh mein is qadar aaya ki dil ki maut hai duri

wo apne husn ki masti se hain majbur-e-paidai
meri aankhon ki binai mein hain asbab-e-masturi

koi taqdir ki mantiq samajh sakta nahin warna
na the turkan-e-usmani se kam turkan-e-taimuri

faqiran-e-haram ke hath 'iqbaal' aa gaya kyunkar
mayassar mir o sultan ko nahin shahin-e-kafuri