اردو हिंदी
Ye phul jo miTTi ke hayulon se aTa hai | Shaahi Shayari
ye phul jo miTTi ke hayulon se aTa hai

Ghazal

Ye phul jo miTTi ke hayulon se aTa hai

Azeem Qureshi

;

ye phul jo miTTi ke hayulon se aTa hai
mazi ka koi KHwab hai manus sada hai

sukha hua patta hun ki be-Dal paDa hun
kya jaaniye kis ke liye ye jog liya hai

ai KHar-e-chaman-zar munajjim to nahin tu
farda ka har ek raaz tere lab se suna hai

puchho ye sitaron se ki tauzih karen wo
kyun lash pe yun chand ki matam sa bapa hai

dukhte hue dil se kai shahkar nikale
is daur ko hum ne hi ziya-pash kiya hai

jam bhi wahi dara bhi sikandar bhi wahi hai
ji kar bhi tera aur jo mar kar bhi tera hai

tu mujh se gurezan hai to main tujh pe hun qurban
ishwa hai jo wo tera to ye meri ada hai

fankar ne samjha na mughanni hi ne samjha
jo sirr-e-nihan ek qalandar ne kaha hai

main phir bhi 'azim' us ki adaon pe miTa hun
jo marg ka unwan meri hasti ki baqa hai