اردو हिंदी
Ye payam de gai hai mujhe baad-e-subh-gahi | Shaahi Shayari
ye payam de gai hai mujhe baad-e-subh-gahi

Ghazal

Ye payam de gai hai mujhe baad-e-subh-gahi

Allama Iqbal

;

ye payam de gai hai mujhe baad-e-subh-gahi
ki KHudi ke aarifon ka hai maqam padshahi

teri zindagi isi se teri aabru isi se
jo rahi KHudi to shahi na rahi to ru-siyahi

na diya nishan-e-manzil mujhe ai hakim tu ne
mujhe kya gila ho tujh se tu na rah-nashin na rahi

mere halqa-e-suKHan mein abhi zer-e-tarbiyat hain
wo gada ki jaante hain rah-o-rasm-e-kaj-kulahi

ye muamle hain nazuk jo teri raza ho tu kar
ki mujhe to KHush na aaya ye tariq-e-KHanqahi

tu huma ka hai shikari abhi ibtida hai teri
nahin maslahat se KHali ye jahan-e-murgh-o-mahi

tu arab ho ya ajam ho tera la ilah illa
lughat-e-gharib jab tak tera dil na de gawahi