ye paDaw aaj ho aaKHiri kya KHabar
ran paDe aaj ki raat hi kya KHabar
aaj koi tanaben gaya kaT kar
kal koi mare shab-KHun bhi kya KHabar
hum to raKHt-e-safar bandh ke hi rahe
qafila chal paDa kis gali kya KHabar
aa rahe hain zara der tu Thahar ja
ye sada thi mere shahr ki kya KHabar
kis kamin-gah mein chhup gaya hai adu
kis taraf se kare war bhi kya KHabar

Ghazal
Ye paDaw aaj ho aaKHiri kya KHabar
Shafaq Sopori