اردو हिंदी
Ye nim-baz teri ankhDiyon ke maiKHane | Shaahi Shayari
ye nim-baz teri ankhDiyon ke maiKHane

Ghazal

Ye nim-baz teri ankhDiyon ke maiKHane

Nushur Wahidi

;

ye nim-baz teri ankhDiyon ke maiKHane
nazar mile to chhalak jaen dil ke paimane

kahin kali ne tabassum ka raaz samjha hai
jo KHud chaman hai wo apni bahaar kya jaane

ajab nahin jo mohabbat mujhe samajh na sake
wo ajnabi hun jise zist bhi na pahchane

jo hosh mein tha to koi na mai-ba-jam aaya
bahak gaya hun to duniya chali hai samjhane

fareb-e-mashriq-o-maghrib hain rahrawan-e-jadid
ye bad-nasib na aaqil hue na diwane

wo zinda hai jo bahe mauj waqt ki rau mein
wo zinda-tar hai jo tufan mein Therna jaane

main apni bazm se itna hi dur hun ki 'nushur'
meri nawaon se kuchh aashna hain begane