اردو हिंदी
Ye nazm-e-gurezan hai barham-zadani pahle | Shaahi Shayari
ye nazm-e-gurezan hai barham-zadani pahle

Ghazal

Ye nazm-e-gurezan hai barham-zadani pahle

Nushur Wahidi

;

ye nazm-e-gurezan hai barham-zadani pahle
zahid ki ki taraf se ho tauba-shikani pahle

phulon ke tabassum par rona abhi aata hai
dekhi hai in aankhon ne viran-chamani pahle

yun husn ke chehre par aai nahin barnai
sau sham ke pardon mein ek subh chhani pahle

malum kise aaKHir is KHak-e-tamanna se
parwana uTha pahle ya shama bani pahle

ye aish ke hangame uDte hue baadal hain
hoti hai nigahon mein har chhanw ghani pahle

ek nim-tabassum se hota hai chaman zinda
aisi nafasi sikhe ghuncha-dahani pahle

har naghma 'nushur' ab bhi mamnun-e-taghazzul hai
sikhlai ghazal ne hi shirin-suKHani pahle