اردو हिंदी
Ye nashsha-e-agahi KHatarnak hai sar mein | Shaahi Shayari
ye nashsha-e-agahi KHatarnak hai sar mein

Ghazal

Ye nashsha-e-agahi KHatarnak hai sar mein

Mohammad Aazam

;

ye nashsha-e-agahi KHatarnak hai sar mein
TuTe hain mere panw isi rahguzar mein

rim-jhim ke aqab-zar mein baran hai abhi aag
achchha hai na dekhe wo mere dida-e-tar mein

sarmaya-e-jaan yun na uTha sare hijabaat
tu aankh ke pardon ki badaulat hai nazar mein

aansu tha wo nikla to gaya toD ke har band
KHushbu tha ki ghar chhoD ke bhi rahta hai ghar mein

us bargah-e-naz hai hum se fuqara ko
KHairaat to milti hai wale kasa-e-sar mein

rahti hain mere sath wo aagah nigahen
kuchh farq na tha warna mere aib-o-hunar mein