اردو हिंदी
Ye naqsh aisa nahin hai jise miTaun main | Shaahi Shayari
ye naqsh aisa nahin hai jise miTaun main

Ghazal

Ye naqsh aisa nahin hai jise miTaun main

Mahfooz Asar

;

ye naqsh aisa nahin hai jise miTaun main
mujhe bata ki tujhe kaise bhul jaun main

koi lakir hi raushan nahin hatheli par
najumiyon ko bhala hath kya dikhaun main

bujha bujha sa nazar aa raha hai har koi
fasana-e-gham-e-hasti kise sunaun main

yaqin karo ki meri jit phir yaqini hai
magar kaho to ye bazi bhi haar jaun main

nazar ke samne manzil ke raste hain bahut
ye sochta hun qadam kis taraf baDhaun main

ye baat sach hai ki buniyaad hun imarat ki
ye aur baat kisi ko nazar na aaun main

gham-e-zamana se fursat kahan 'asar-sahab'
dua ko hath jo apne liye uThaun main