ye nahr-e-ab bhi us ki hai mulk-e-sham us ka
jo hashr mujh pe bapa hai wo ehtimam us ka
sipah-e-taza bhi us ki saf-e-nigah se hai
safa-e-sina-e-shmshir par hai nam us ka
aman KHema-e-ram-KHurdgan mein baqi hai
ki na-tamam hai ek shauq-e-qatl-e-am us ka
kitab-e-umr se sab harf uD gae mere
ki mujh asir ko hona hai ham-kalam us ka
dil-e-shikasta ko lana hai ru-ba-ru us ke
jo mujh se narm hua koi band dam us ka
main us ke hath se kis zaKHm mein kami rakkhun
shuru-e-naz bhi us ka hai iKHtitam us ka
Ghazal
Ye nahr-e-ab bhi uski hai mulk-e-sham us ka
Afzal Ahmad Syed