اردو हिंदी
Ye nahin kasrat-e-alam se jal jate hain | Shaahi Shayari
ye nahin kasrat-e-alam se jal jate hain

Ghazal

Ye nahin kasrat-e-alam se jal jate hain

Fitrat Ansari

;

ye nahin kasrat-e-alam se jal jate hain
dil tamanna-e-KHush-anjam se jal jate hain

un se puchhe koi mafhum-e-hayat-e-insan
maqbaron mein jo diye sham se jal jate hain

zikr aata hai mera ahl-e-mohabbat mein agar
mere ahbab mere nam se jal jate hain

shama jalti hai to ro deti hai soz-e-gham se
aur parwane to aaram se jal jate hain

shoala-e-barq se ham-rah-e-nasheman aksar
gulistan gardish-e-ayyam se jal jate hain