ye nam mumkin nahin rahega maqam mumkin nahin rahega
ghurur lahje mein aa gaya to kalam mumkin nahin rahega
ye barf-mausam jo shahr-e-jaan mein kuchh aur lamhe Thahar gaya to
lahu ka dil ki kisi gali mein qayam mumkin nahin rahega
tum apni sanson se meri sansen alag to karne lage ho lekin
jo kaam aasan samajh rahe ho wo kaam mumkin nahin rahega
wafa ka kaghaz to bhig jaega bad-gumani ki barishon mein
KHaton ki baaten to KHwab hongi payam mumkin nahin rahega
ye hum mohabbat mein la-talluq se ho rahe hain tu dekh lena
duaen to KHair kaun dega salam mumkin nahin rahega
Ghazal
Ye nam mumkin nahin rahega maqam mumkin nahin rahega
Noshi Gilani