ye na samjho ki kisi dard ke izhaar mein thi
aarzu waqt ke TuTe hue pindar mein thi
jaane kya DhunDhta phirta tha yahan mera wajud
ek udasi mere ghar ke dar-o-diwar mein thi
meri taKHil mein alfaz ki zanjiren thin
zindagi warna zamane teri raftar mein thi
karti phirti thi ujalon ki qaba meri talash
aur main thi ki andheron ke kisi ghaar mein thi
log samjhe hi nahin mere hunar ko warna
mujh mein fankar tha poshida main fankar mein thi
Ghazal
Ye na samjho ki kisi dard ke izhaar mein thi
Nusrat Mehdi