اردو हिंदी
Ye na puchho tum KHudara ki mera makan kahan hai | Shaahi Shayari
ye na puchho tum KHudara ki mera makan kahan hai

Ghazal

Ye na puchho tum KHudara ki mera makan kahan hai

Raghunath Sahai

;

ye na puchho tum KHudara ki mera makan kahan hai
jise aag di hai tum ne wahi mera aashiyan hai

tumhein kya sunaun ab main gham-e-ishq ka fasana
wahi qissa-e-alam hai wahi gham ki dastan he

mujhe raushni milegi rah-e-zist mein usi se
tera naqsh-e-pa hai jaanan ki charag-e-karwan hai

meri har nishat-o-gham ko teri zat se hai nisbat
tu jo aae to bahaaran tu na aae to KHizan hai

wo bahaar-e-subh-e-raushan ye andhere sham-e-gham ke
wo to un ki thi kahani ye hamari dastan hai

wahi zindagi ka lamha ki jo tere sath guzra
wahi muKHtasar sa lamha meri umr-e-jawedan hai

nahin kuchh samajh mein aata ki 'umid' ko hua kya
na hai lab pe harf-e-shikwa na zaban pe ab fughan hai