ye na ho wo bhulne wala bhula dena paDe
aur phir ye raaz us ko bhi bata dena paDe
ai dil-e-hangama-KHu takrar itni bhi na kar
tang aa kar tujh ko mahfil se uTha dena paDe
Than rakkhi hai ki dil ki baat kahni hai zarur
us ki KHatir KHwah mahshar hi uTha dena paDe
aankh walon ke karam se aaj wo raat aa gai
jab kisi andhe ke hathon mein diya dena paDe
dekhna hai aag mein kaisa nazar aata hai shahr
KHwah pura shahr hi hum ko jala dena paDe
Ghazal
Ye na ho wo bhulne wala bhula dena paDe
Shahzad Ahmad

