ye mumkin hai ki mil jaen teri khoi hui chizen
qarine se saja kar rakha zara bikhri hui chizen
kabhi yun bhi hua hai hanste hanste toD di hum ne
hamein malum tha juDti nahin TuTi hui chizen
zamane ke liye jo hain baDi nayab aur mahngi
hamare dil se sab ki sab hain wo utri hui chizen
dikhati hain hamein majburiyan aise bhi dil aksar
uThani paDti hain phir se hamein phenki hui chizen
kisi mahfil mein jab insaniyat ka nam aaya hai
hamein yaad aa gai bazar mein bikti hui chizen
Ghazal
Ye mumkin hai ki mil jaen teri khoi hui chizen
Hastimal Hasti