ye mohabbat ki jawani ka saman hai ki nahin
ab mere zer-e-qadam kahkashan hai ki nahin
daman-e-rind-e-bala-nosh ko dekh ai saqi
parcham-e-KHwajgi-e-kaun-o-makan hai ki nahin
muskuraate hue guzre the idhar se kuchh log
aaj pur-nur guzar-gah-e-zmaan hai ki nahin
husn hi husn hai gulzar-e-junun mein raqsan
ishq ka aalam-e-sad-rang jawan hai ki nahin
rah par aa hi gae aaj bhaTakne wale
rahbar dekh wo manzil ka nishan hai ki nahin
lakh girdab-o-talatum se guzar kar ai dost
ab safina mera sahil pe rawan hai ki nahin
tazkire apne har ek bazm mein hain ai 'aKHtar'
aaj mohmal si hadis-e-digran hai ki nahin
Ghazal
Ye mohabbat ki jawani ka saman hai ki nahin
Akhtar Ansari Akbarabadi