اردو हिंदी
Ye mohabbat ka war hai sahab | Shaahi Shayari
ye mohabbat ka war hai sahab

Ghazal

Ye mohabbat ka war hai sahab

Rashid Qayyum Ansar

;

ye mohabbat ka war hai sahab
dil baDa sogwar hai sahab

har taraf log chhanw ke dushman
aur shajar saya-dar hai sahab

kyun mera dil KHizan-rasida hai
har taraf to bahaar hai sahab

panw rakhna sambhal sambhal ke yahan
hasraton ka mazar hai sahab

kya ajab hai ki hum ko KHud pe nahin
aap par eatibar hai sahab

pahla maqsad hai khelna tum se
sanwi jit haar hai sahab

panw haalat ki giraft mein hain
ishq sar par sawar hai sahab

gham se rishta bahut purana hai
mere bachpan ka yar hai sahab

aap 'ansar' ko jaante hi nahin
ye to yaron ka yar hai sahab