اردو हिंदी
Ye mohabbat hai mohabbat sargirani ho to kya | Shaahi Shayari
ye mohabbat hai mohabbat sargirani ho to kya

Ghazal

Ye mohabbat hai mohabbat sargirani ho to kya

Kaleem Ahmadabadi

;

ye mohabbat hai mohabbat sargirani ho to kya
shiddat-e-gham se jigar ka KHun pani ho to kya

ruh ban kar meri rag rag mein sarayat kar gaya
aise dard-e-dil ki koi tarjumani ho to kya

sard ho sakta nahin sargarm insan ka lahu
hadisat-e-nau-ba-nau mein zindagani ho to kya

apna jina ek dhoka apna marna ek fareb
zindagi se zindagi ki tarjumani ho to kya

har tarah KHush KHush rahi hai mujh se meri zindagi
mehrbani ho to kya na-mehrbani ho to kya

gham natija hai KHushi ki intiha ka ai 'kalim'
dil ki ek ek mauj mauj-e-shadmani ho to kya