ye moajiza bhi mohabbat kabhi dikhae mujhe
ki sang tujh pe gire aur zaKHm aae mujhe
main apne panw tale raundta hun sae ko
badan mera hi sahi dopahar na bhae mujhe
ba-rang-e-ud milegi use meri KHushbu
wo jab bhi chahe baDe shauq se jalae mujhe
main ghar se teri tamanna pahan ke jab niklun
barahna shahr mein koi nazar na aae mujhe
wahi to sab se ziyaada hai nukta-chin mera
jo muskura ke hamesha gale lagae mujhe
main apne dil se nikalun KHayal kis kis ka
jo tu nahin to koi aur yaad aae mujhe
zamana dard ke sahra tak aaj le aaya
guzar kar teri zulfon ke sae sae mujhe
wo mera dost hai sare jahan ko hai malum
dagha kare wo kisi se to sharm aae mujhe
wo mehrban hai to iqrar kyun nahin karta
wo bad-guman hai to sau bar aazmae mujhe
main apni zat mein nilam ho raha hun 'qatil'
gham-e-hayat se kah do KHarid lae mujhe
Ghazal
Ye moajiza bhi mohabbat kabhi dikhae mujhe
Qateel Shifai