ye meri ruh siyah raat mein nikli hai kahan
badan-e-ishq se aage koi basti hai kahan
tum ne nazrane guzare the kahan banT diye
sath jo umr gizari thi wo rakh di hai kahan
mere aasab pe lahraati hui shaKH-e-gulab
aaj wo hath hilati hui laDki hai kahan
ek hi chand ko takta hua be-nam paDos
ek hi chand dikhati hui khiDki hai kahan
nafa o nuqsan se munh moDe hue baiThi hai
meri maghrur tamanna meri sunti hai kahan
pahle sar ki ye shikayat thi falak uncha hai
ab mere panw ye kahte hain ki dharti hai kahan

Ghazal
Ye meri ruh siyah raat mein nikli hai kahan
Rauf Raza