ye mat puchho ki kaisa aadmi hun
karoge yaad, aisa aadmi hun
mera nam-o-nasab kya puchhte ho!
zalil-o-KHwar-o-ruswa aadmi hun
taaruf aur kya is ke siwa ho
ki main bhi aap jaisa aadmi hun
zamane ke jhamelon se mujhe kya
meri jaan! main tumhaara aadmi hun
chale aaya karo meri taraf bhi!
mohabbat karne wala aadmi hun
tawajjoh mein kami beshi na jaano
azizo! main akela aadmi hun
guzarun ek jaisa waqt kab tak
koi patthar hun main ya aadmi hun
'shuur' aa jao mere sath, lekin!
main ek bhaTka hua sa aadmi hun
Ghazal
Ye mat puchho ki kaisa aadmi hun
Anwar Shuoor