ye mat bhula ki yahan jis qadar ujale hain
ye aadmi ne andheron se hi nikale hain
na puchh kyun hai ye rang-e-ghazal mein tabdili
ye dekh sina-e-shair mein kitne chhaale hain
libas-e-sabr-o-tahammul jo hum hain pahne hue
ab is ke lagta hai baKHiye udhaDne wale hain
tawaqquat wahi aaj bhi hain yaron se
ki ab bhi yar sabhi aastin wale hain
KHamosh kanpte mohre laraz raha hai bisat
na jaane kaun si wo chaal chalne wale hain
ye kya sitam hai ki un ko bhi main baDa likkhun
jo log aaj baDe karobar wale hain
KHuda kare ki 'saadat' tumhein sujhai den
jo mere sheron mein mafhum ke ujale hain
Ghazal
Ye mat bhula ki yahan jis qadar ujale hain
Saadat Bandvi