ye martaba koshish se mayassar nahin hota
har fateh-e-ayyam sikandar nahin hota
har rose nai jang hai har rose nai jehd
kab apne muqabil koi lashkar nahin hota
be-soche hue kaam to ho jate hain sare
jo sochte hain hum wahi aksar nahin hota
har pal wahi wahshat hai wahi raqs-e-sitam-nak
kis lamha yahan fitna-e-mahshar nahin hota
aa lete hain jazbaat ko chupke se kisi pal
un hadson ka waqt muqarrar nahin hota
aawara hain is aankh se us aankh talak KHwab
jaise ki musafir ka koi ghar nahin hota
Ghazal
Ye martaba koshish se mayassar nahin hota
Qamar Siddiqi

