ye marhale bhi mohabbat ke bab mein aae
KHulus chaha to patthar jawab mein aae
KHusha wo shauq ki dar dar liye phira mujh ko
zah-e-nasib ki tum intiKHab mein aae
hazar zabt karun lakh dil ko bahlaun
magar wo shakl jo har roz KHwab mein aae
main kya kahun ki tera zikr ghair se sun kar
jo waswase dil-e-KHana-KHarab mein aae
hai shahryar ki qurbat se fasla behtar
rahe jo qurb mein akasr itab mein aae
wahin qabila-e-murda-zamir likh dena
hamara zikr jahan bhi kitab mein aae
riya ke daur mein sach bol to rahe ho magar
ye wasf hi na kahin ehtisab mein aae
main apne des ki miTTi se pyar karta hun
ye jurm bhi meri fard-e-hisab mein aae
Ghazal
Ye marhale bhi mohabbat ke bab mein aae
Murtaza Birlas