اردو हिंदी
Ye marhala hai mere aazmae jaane ka | Shaahi Shayari
ye marhala hai mere aazmae jaane ka

Ghazal

Ye marhala hai mere aazmae jaane ka

Khaavar Ejaz

;

ye marhala hai mere aazmae jaane ka
mila hai hukm mujhe kashtiyan jalane ka

bahana DhunD rahe hain tamam ahl-e-sitam
fasil-e-shahr-e-wafa mein naqab lagane ka

baDe sukun se soi hai aaj KHilqat-e-shahr
mana ke jashn charaghon ki lau bujhane ka

hawa-e-shahr hi jab ho gai KHilaf mere
use bhi aa gaya fan ungliyan uThane ka

mere wajud mein zinda hai shaukat-e-mazi
main ek sutun hun guzre hue zamane ka

ruki hui hai lab-e-KHushk par hayat ki bund
phir us ke baad to manzar hai Dub jaane ka

safar ki sham meri zindagi ke mathe par
bas ek sitara tere nur aastane ka