ye man-bhawan sa apna-pan jaane kahan se late ho
jab aate ho dil ka TukDa ek chura le jate ho
chup-chup rah ke kuchh nahin kah ke kya se kya kah jate ho
dabe dabe bujhte KHwabon ko aur hawa de jate ho
chhoTi chhoTi miThi baaten bhul chuke the hum jin ko
halke halke yaad dila ke is dil ko sahlate ho
jate waqt yahi kahte ho agli bar na jaoge
kaise kaise na-mumkin se wade tum kar jate ho
aate hi jaane ki jaldi der na ho ghabraate ho
der hui to kabhi kabhi is dil mein bhi rah jate ho
Ghazal
Ye man-bhawan sa apna-pan jaane kahan se late ho
Jatinder Vir Yakhmi u0027jayaveeru0027