اردو हिंदी
Ye main nahin hun jo shamon ko ghar mein aata hun | Shaahi Shayari
ye main nahin hun jo shamon ko ghar mein aata hun

Ghazal

Ye main nahin hun jo shamon ko ghar mein aata hun

Manmohan Talkh

;

ye main nahin hun jo shamon ko ghar mein aata hun
kahin se KHud sa koi roz DhunDh lata hun

khula na ji pe jo dukh main wahi bhulata hun
zara si baat ko kitne baras lagata hun

tumhaari aankh ka gum-karda rabt banne ko
ye roz KHud ko kahan se main DhunD lata hun

main apne zehn mein tanha raha hun misl-e-KHayal
main apne ji ke hi dukh sau tarah manata hun

bahut dinon se nahin mujh pe din Dhala jaise
main tere raston pe sham banne aata hun

ye mauj mauj si gahrai ban ke chhu na mujhe
ki main wasia kinaron ke dukh uThata hun

wo yaad hai meri baaton ki tu ki ab bhi tujhe
main dekh lun to bahut KHud ko yaad aata hun

main intishaar hi mein rah saka mukammal 'talKH'
wo silsila hun ki juDne mein TuT jata hun