ye main kahunga falak pe ja kar zamin se aaya hun tang aa kar
jo ai masiha tu hai masiha to kuchh mere dard ki dawa kar
tumhaare jalwe ghazab ke dekhe tumhaare chhinTe bala ke pae
laga laga di bujha bujha kar bujha bujha di laga laga kar
ziden mohabbat se aisi aain KHayal rakkha na apne ghar ka
buton ne kabe ko muft Dhaya kisi ke dil ko dukha dukha kar
wo shoKH be-e'tibar kafir raha na tanha gaya na tanha
jo dard uTTha uTha uTha kar to dil ko baiTha biTha biTha kar
ye zor hirman-o-yas ka hai asar kahan ka meri fughan ko
paTak paTak KHak par diya hai falak se uncha uTha uTha kar
gudaz karte hain mere dil ko wo yun biThate hain apna sikka
jali kaTi ho rahi hai kya kya adu se mujh ko suna suna kar
suni kisi ne sada-e-tuti na haalat-e-andalib dekhi
jo kor thi is chaman mein nargis to gul bhi ai ham-safir tha kar
kahin na zulfon se khul paDa ho mujhe hai andesha apne dil ka
ki purze purze uDa raha tha adu koi shai dikha dikha kar
wo but ki den us ko to na gar de to lakh tufan uTha ke dhar de
zaban phir saf qata kar de jo munh se nikle KHuda KHuda kar
ilahi hangam-e-amad-amad ye kis qayamat-KHiram ka hai
khisak chale sehn-e-bostan se tadrau-o-taus dum daba kar
falak hua mehrban phire din shab-e-visal aa gai to is ne
bahaar-e-lutf-o-karam dikha kar naqab-e-sharm-o-haya uTha kar
kabhi hansaya kabhi rulaya kabhi rulaya kabhi hansaya
jhijak jhijak kar simaT simaT kar lipaT lipaT kar daba daba kar
'bayan' hai wo baadshah-e-asra ki jis ki dargah-e-KHusrawi mein
diya zamin-e-adab ko bosa falak ne gardan jhuka jhuka kar
Ghazal
Ye main kahunga falak pe ja kar zamin se aaya hun tang aa kar
Bayan Meeruti