ye main bhi kya hun use bhul kar usi ka raha
ki jis ke sath na tha ham-safar usi ka raha
wo but ki dushman-e-din tha ba-qaul naseh ke
sawal-e-sajda jab aaya to dar usi ka raha
hazar chaaragaron ne hazar baaten kin
kaha jo dil ne suKHan mo'tabar usi ka raha
bahut si KHwahishen sau barishon mein bhigi hain
main kis tarah se kahun umr bhar usi ka raha
ki apne harf ki tauqir jaanta tha 'faraaz'
isi liye kaf-e-qatil pe sar usi ka raha
Ghazal
Ye main bhi kya hun use bhul kar usi ka raha
Ahmad Faraz