ye mahr o mah be-charagh aaise ki rakh ban kar bikhar rahe hain
hum apni jaan ka diya bujhae kisi gali se guzar rahe hain
ye dukh jo matlub ka mila hai fishaar apni hi zat ka hai
ki hum KHud apni talash mein hain aur apne sadmon se mar rahe hain
wajud kyun hai shuhud kyun hai sabaat kya hai najat kya hai
inhi sawalon ki aag le kar hum apna isbaat kar rahe hain
ai waqt ke be-qayas dhaare kidhar hain wo ham-nasab hamare
jo ek zinda KHabar ki KHatir KHud aap se be-KHabar rahe hain
aziyyaton ka nuzul mauquf KHak uDane hi par nahin hai
azab un ko bhi to mile hain jo log apne hi ghar rahe hain
nazar mein itni shabahaten hain ki us ki pahchan kho gai hai
samaaton mein hai shor itna ki har sada se mukar rahe hain
hamare andar ka KHauf 'sabir' shikast dene laga hai hum ko
lahu ki rut ab guzar gai hai dilon mein sahra utar rahe hain
Ghazal
Ye mahr o mah be-charagh aaise ki rakh ban kar bikhar rahe hain
Sabir Waseem