اردو हिंदी
Ye mana zindagi mein gham bahut hain | Shaahi Shayari
ye mana zindagi mein gham bahut hain

Ghazal

Ye mana zindagi mein gham bahut hain

Maikash Akbarabadi

;

ye mana zindagi mein gham bahut hain
hanse bhi zindagi mein hum bahut hain

teri zulfon ko kya suljhaun ai dost
meri rahon mein pech-o-KHam bahut hain

nahin hai munhasir kuchh fasl-e-gul par
junun ke aur bhi mausam bahut hain

ghubar-aluda chehron par na jaana
inhin mein kiqabaad-o-jam bahut hain

mujhe kuchh saz hai nashtar se warna
mere zaKHmon ke yan marham bahut hain

qafas ye jaan kar toDa tha main ne
qafas ko toD kar bhi gham bahut hain

karun kya chaara in aankhon ka 'maikash'
ki un ke samne pur-nam bahut hain