اردو हिंदी
Ye mahtab ye suraj kidhar se aae hain | Shaahi Shayari
ye mahtab ye suraj kidhar se aae hain

Ghazal

Ye mahtab ye suraj kidhar se aae hain

Mustahsin Khayal

;

ye mahtab ye suraj kidhar se aae hain
ye kaun log hain ye kis nagar se aae hain

yahi bahut hai meri ungliyan salamat hain
ye dil ke zaKHm to arz-e-hunar se aae hain

bahut se dard mudawa-talab the pahle bhi
ab aur zaKHm mere chaaragar se aae hain

gira diya hai jise aandhiyon ke zor ne kal
ye KHush-nawa usi buDhe shajar se aae hain

ruke nahin hain kahin qafile tamanna ke
faraaz-e-dar ye lambe safar se aae hain

hum apne-ap ko kuchh ajnabi se lagte hain
ki jab se lauT kar us ke nagar se aae hain

har ek KHat mein nagine jaDe hain main ne 'KHayal'
bahut se lafz meri chashm-e-tar se aae hain