ye log karte hain mansub jo bayan tujh se
samajhte hain mujhe kar denge bad-guman tujh se
jahan jahan mujhe teri ana bachana thi
shikast khai hai main ne wahan wahan tujh se
mere shajar mujhe bazu hila ke ruKHsat kar
kahan milenge bhala mujh ko mehrban tujh se
KHuda kare ki ho tabir KHwab ki achchhi
mila hun raat main phulon ke darmiyan tujh se
judaiyon ka sabab sirf ek tha 'taimur'
tawaqquat ziyaada thin jaan-e-jaan tujh se

Ghazal
Ye log karte hain mansub jo bayan tujhse
Taimur Hasan