ye lafz lafz shoala-bayani usi ki hai
himmat hai aur kis mein kahani usi ki hai
takmil ho rahi hai bichhaDne ke bawajud
baqi ki zindagi bhi kahani usi ki hai
rut aa gai nai to use dekh kar laga
shayad ye koi yaad purani usi ki hai
manzar mein aur kya hai ye dekha nahin abhi
lekin ye hai jo oDhni dhani usi ki hai
main to bahut dinon se ye kahta tha aaj to
sab ne kaha ye sham suhani usi ki hai
ek sang hai ki jine ka jis ko mila hai hukm
is dil ki dhaDkanon mein rawani usi ki hai
KHat ho koi kitab ho ya dil ka zaKHm ho
jo bhi hai mere pas nishani usi ki hai
Ghazal
Ye lafz lafz shoala-bayani usi ki hai
Sardar Asif