ye kya waswase ham-safar ho gae hain
sabhi raste pur-KHatar ho gae hain
pukara nahin tum ko ghairat ne warna
kai bar aakar idhar ho gae hain
na samjho hamein kuchh shikayat nahin hai
ki KHamosh kuchh soch kar ho gae hain
kise ho KHabar dard-e-pinhan ki ai dil
jinhen thi KHabar be-KHabar ho gae hain
hum apni tabahi pe bas muskurae
magar daman-e-ghair tar ho gae hain
tere bin hamein maut bhi to na aai
judai ke din bhi basar ho gae hain

Ghazal
Ye kya waswase ham-safar ho gae hain
Mushtaq Naqvi