ye kya sitam-zarifi-e-fitrat hai aaj-kal
begangi sharik-e-mohabbat hai aaj-kal
gham hai ki ek talKH haqiqat hai aaj-kal
dil hai ki sogwar-e-mohabbat hai aaj-kal
tanhai-e-firaq se ghabra raha hun main
mere liye sukun bhi qayamat hai aaj-kal
har sans tarjuman-e-gham-e-dil hai in dinon
har aah parda-dar-e-hikayat hai aaj-kal
meri wafa hi mere liye qahr ban gai
apni wafa pe un ko nadamat hai aaj-kal
phir chahta hun ek alam taza-tar 'shakil'
phir dil ko justaju-e-masarrat hai aaj-kal
Ghazal
Ye kya sitam-zarifi-e-fitrat hai aaj-kal
Shakeel Badayuni