ye kya ki sab se bayan dil ki haalaten karni
'faraaz' tujh ko na aain mohabbaten karni
ye qurb kya hai ki tu samne hai aur hamein
shumar abhi se judai ki saaten karni
koi KHuda ho ki patthar jise bhi hum chahen
tamam umr usi ki ibaadaten karni
sab apne apne qarine se muntazir us ke
kisi ko shukr kisi ko shikayaten karni
hum apne dil se hi majbur aur logon ko
zara si baat pe barpa qayamaten karni
milen jab un se to mubham si guftugu karna
phir apne aap se sau sau wazahaten karni
ye log kaise magar dushmani nibahte hain
hamein to ras na aain mohabbaten karni
kabhi 'faraaz' nae mausamon mein ro dena
kabhi talash purani rifaqaten karni
Ghazal
Ye kya ki sab se bayan dil ki haalaten karni
Ahmad Faraz