ye kya ki KHalq ko pura dikhai deta hun
magar main KHud ko adhura sujhai deta hun
ajal ko ja ke gareban se pakaD lae
main zindagi ko wahan tak rasai deta hun
main apne jism ke sab munqasim hawalon ko
ba-nam-e-rizq suKHan ki kamai deta hun
wo zindagi mein mujhe phir kabhi nahin milta
main apne KHwabon se jis ko rihai deta hun
mujhe sila na sataish na adl hai matlub
main apne samne apni safai deta hun
ye shor mera taKHatub nahin sunega 'ali'
main KHamushi ko mukammal sunai deta hun
Ghazal
Ye kya ki KHalq ko pura dikhai deta hun
Ali Muzammil