ye kya KHabar thi ki jab tum se dosti hogi 
qadam qadam pe qayamat si ek khaDi hogi 
wahan pe gunjti hogi KHushi ki shahnai 
yahan to mayyat-e-arman uTh rahi hogi 
jo be-KHabar hai abhi tak KHud apni manzil se 
to aise KHizr se kis tarah rahbari hogi 
bana ke KHak se KHud KHak mein mila dena 
ilahi teri shariat mein kuchh kami hogi 
shab-e-firaq raqib aa ke de mujhe taskin 
qasam KHuda ki ye sazish bhi aap ki hogi 
jigar ke KHun se tar ho na jis ka sher koi 
phir us ghazal mein bhala KHak dilkashi hogi 
'jamal' chhuT hi jaega zabt ka daman 
kamal-e-jaur mein un ke agar kami hogi
        Ghazal
Ye kya KHabar thi ki jab tum se dosti hogi
Harbans Lal Aneja u0027jamaalu0027

