ye kya hua ki tabiat sambhalti jati hai
tere baghair bhi ye raat Dhalti jati hai
us ek ufuq pe abhi tak hai e'tibar mujhe
magar nigah-e-manazir badalti jati hai
chahaar samt se ghera hai tez aandhi ne
kisi charagh ki lau phir bhi jalti jati hai
main apne jism ki sargoshiyon ko sunta hun
tere visal ki saat nikalti jati hai
ye dekho aa gai mere zawal ki manzil
main ruk gaya meri parchhain chalti jati hai
Ghazal
Ye kya hua ki tabiat sambhalti jati hai
Shahryar